Kuch Ehsaasen

1.

Arz kiya hai ki ek waqt hua krta tha
Jb humare phone me unki msg ya call se kampan achi lagti thi
Wo kampan adat si ban gayi thi
Wo raat ke 10:30 baje dil ke darwaze pe knck knck
Wo intezar rehta tha, bina unke dil tadap ut ta tha
Chahat ki wo tadpahat achi lagne lagi thi
Aj humara phone shant pada hai, sannate me
Na hi unke msg ya call se phone me koi harkat hoti hai
Aur Na hi unke liye intezar rah gaya hai
Jo rah gaya hai wo bas waqt ke saath behne ki adat
aur ye to ap log jante hi hai waqt kabhi mudke dekhne nahi deti

2.

Kash hum unki khamoshi samajh pate
Pehle pehle jab hum dono class aaya krte the,
Ek alag khushi rehti thi
Dobara milne ki aur nazron se baat krne ki khushi
Bagal me seat lagake baitne ki aur har tarike se impress krne ki chahat
Teacher se punishment bhi achi lgti thi, jb hum dono ko baat krne ki vajah se class se bahar nikal dete the
Aur hum dono pure college ke corridor me aise hi tahalte the
Samay tham si gyi thi par wo aj bhi to tham gyi h
Ishq ke sapne dekhe the ab to dosti bhi na rhi
Wo bas ek sham ki misunderstanding ne maano sab bematlab kr diya
Ab na to saath baitna hota h na hi saath kahi jana
Kash hum unki khamoshi samajh pate
Zindagi ki bhagdad ne akhir kar humari wo pyari dosti bhi chin li

3.

Jinki akhon me aakhen daal ke dekhe, lage bs dekhte hi raho zindagi bhar
Jinki badan ki khushboo jannat ka ehsas dilati h
Jinki chehekti huyi hansi ko dekh din ban jaye,
Jinki baatien aur nakhre kabhi khatam na hote ho
Jinke karib aane se dil ki dhadkan thodi aur tez ho jaye,
Aur Jinke mulayam haatho ko chhune se ruh me ek sarsarahat ho jaye
Jinki pyari gulabi hont jo kisi aashiq ke liye taras gaye ho
Aur jinke jism se nhi balki unke ruh se ishq krne ki chahat ho
Jinse ishq krna bhut saubhagya walo ko nasib hota h,
Aye kismat teri ye kaisi leela
Jinke saath beintehaa mohobbat hota h unhi se fir apna dard ka vasta bhi rehta h
Ishq mubarak dard mubarak!!

4.

Wo tasveer
Haal hi me Feb ka mahina beeta tha
Na jaane kitno ko apne pyar ki khushi mil hi gayi
Kayi o ka dil toota aur kayi pyar ke liye taraste rahe
Ab mohobbat koi Govt Ration bhi nhi jo line me lage aur mil gaya,
Na hi is exam me Note laga dene se kuch hasil ho jayega.
Khyar dil tootne se gam hona swabhavik h, magar kya hasna muskurana bhi swabhavik h?
Wo ek ladki ki tasveer thi jisko mehez 2 din Pehle maine aansu bahaate suna tha.
Abhi tak wo aansu sukhe bhi nhi the magar uska chehra khubsurti se jhalak raha tha
Itna khubsurat to aashiq bhi nhi lagte, magar aisa kyu
Kya ye Ishq ke jazbaat ka Kamaal h ya gam ko behtrin se chupane ki koshish?
Shayad gam ke pagalpan me khud ko dhundna hi behtar samjha usne
Shayad us muskaan me apne ashiq ko beintehaan chaahne ki khubsurti dikh rahi
Bhale hi andar dil pura toot chuka ho tab bhi itni thandak itna sukoon
Dil cheek cheek ke ro raha ho magar tab bhi wo muskan bayaan krti h
“Insan aur haalaat alag ho sakte par pyar bura nhi ho sakta”

9 thoughts on “Kuch Ehsaasen

  1. Based on true story? πŸ€”

    Liked by 1 person

    1. Ye to fir hum apse bhi apke lekh me puch sakte the 😁

      Liked by 1 person

  2. Means sacchi hai.. πŸ˜›πŸ˜›

    Liked by 1 person

    1. bhavanaye vyakt ki hai bas…. insan kayi sare tajurbe me se fir kuch hi cheze creativity me badalta hai… baki readers have full freedom of their own interpretation…. πŸ˜€

      Like

      1. Yeah correct…πŸ‘

        Liked by 1 person

      2. anyways tumse baat karke acha laga… πŸ™‚

        Like

      3. Same here… πŸ™‚

        Liked by 1 person

      4. Gud nyt… πŸ™‚

        Liked by 1 person

Leave a reply to SULAGNO CHAKRABORTY Cancel reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Design a site like this with WordPress.com
Get started